main sharmsar hun apne zamir ke aage

main sharmsar hun apne zamir ke aage
ki hath khali tha mera faqir ke aage

mera yaqin tha hadd-e-guman ke andar
kabhi bhi socha nahin hai lakir ke aage

koi to jazba tha mahjur ke khayalon mein
pighal rahi thin salasil asir ke aage

charagh-e-sahari tha lekin ajib raushan tha
chamak raha tha wo mah-e-munir ke aage

main kaise us ke likhe par yaqin kar leta
qalam bhi girwi tha jis ka amir ke aage

har ek shakhs tha kamzor-o-natawan 'sahil'
badan-darida tha har ek sharir ke aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close