main sochta hun kinara karun mohabbat se guzar hi jaun kisi din maqam-e-ibrat se main ek takhta-e-yakh ko pakad ke bahta hun bhanwar ki aankh mujhe tak rahi hai hairat se ajab nahin ki junun mein ye moajiza bhi ho main ikhtiyar mein aa jaun apne wahshat se ghubar-e-khwab uda ke guzar gaya koi lagi thi aankh meri chandni mein ghaflat se nazar ko dhil na do is qadar nazare par ki sara kaam bigad jae us ki ujlat se mujhe wajud ke phailao ne kiya taqsim main aqliyat mein ab aaya hun apni kasrat se ye kaun khana-e-dil main mere chhupa hai jo dariche khol raha hai teri ijazat se