main to ek lamha-e-parida raha jaane kyun wo bahut kashida raha ru-ba-ru zikr-e-na-shunida raha uth gaya to mera qasida raha main bhi banda hi tha khuda ki qasam ye alag hai ki barguzida raha aur to koi gham na tha us ko bas meri chah mein tapida raha shab ki peshani ka main jhumar tha kya hua gar hawa-guzida raha mere hisse mein us sahife ka ek waraq tha wahi darida raha koi ummid bar na aati thi zindagi bhar sitam-rasida raha