main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla qura-e-fal mere nam ka aksar nikla tha jinhen zoam wo dariya bhi mujhi mein dube main ki sahra nazar aata tha samundar nikla main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya jab koi phul meri shakh-e-hunar par nikla shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar main ne jis hath ko chuma wahi khanjar nikla tu yahin haar gaya hai mere buzdil dushman mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha 'faraaz' ek jhonka tha ki khushbu ke safar par nikla