main tum ko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye zara sa jhut zarur hai dastan ke liye mere labon pe koi bund tapki aansu ki ye qatra kafi tha jalte hue makan ke liye main kya dikhaun mere tar tar daman mein na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye ghazal bhi is tarah us ke huzur laya hun ki jaise bachcha koi aae imtihan ke liye