main tumko jo mil jati yun rab ne kya hota

main tum ko jo mil jati yun rab ne kya hota
tum mujh ko jo mil jate kya us ka gaya hota

zakhmon ko mere dil ke kuchh aise siya hota
wada na wafa karte wada to kiya hota

thokar to main khati par girti na kabhi lekin
patthar sa kabhi tu jo raste mein pada hota

hum bhai to hain lekin ghar donon ke chhote hain
ek ghar mein hi rah lete jo thoda bada hota

gul un pe khile the jo murjha gae wo sare
ek ped hi wadi mein ai kash hara hota

ek mod pe milna tha hum donon ko aakhir to
kya tera bigad jata wada jo wafa hota

kyon mujh se bichhadne ki jaldi thi tumhein itni
tum dil mein rahe hote dil gham se riha hota

jin honton se khilti thin kaliyan kai lafzon ki
in honton ki jumbish se ek nam liya hota

main girne hi kyon pati kyon daldal mein masaib ki
jo aa ke kabhi mujh ko bas tham liya hota

main laut ke aai to ghar ka wahi aangan tha
hasrat hi rahi dil mein kuchh ghar mein naya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close