main ubta hun na qisse ko aur lamba khinch agar hai hath mein dori to phir ye parda khinch chura ke nind meri chain se jo soya hai use dikha tu bure khwab sar se takiya khinch bata ki jism ka aazar la-ilaj hua tabib jaan ki parwa na kar tu paisa khinch surang-e-jism hai lambi so ehtiyat barat bhatak na jae kahin sans ko na itna khinch kuen mein gir gai gagri to jaane kab nikle abhi hai hath mein rassi sira usi ka khinch