main us se dur raha uski dastaras mein raha

main us se dur raha us ki dastaras mein raha
wo ek shoale ki surat mere nafas mein raha

nazar asir isi chashm-e-mai-fashan ki rahi
mera badan bhi meri ruh ke qafas mein raha

chaman se tut gaya barg-e-zard ka rishta
na aab o gil mein samaya na khar-o-khas mein raha

tamam umr ki be-tabiyon ka hasil tha
wo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein raha

wo ek shaer-e-ashufta-sar ki mujh mein tha
hawa ka sath na de kar hawa ke bas mein raha

kisi khayal ke nashshe mein din guzarte rahe
main apni umr ke unniswen baras mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close