main us ki aankh mein aansu na dekh paunga wo ek bund bhi roya to dub jaunga bahaar aae to shayad wo bhul jae mujhe main apne sahn mein pauda magar lagaunga wo jis ko zakhm mere yaad karte rahte hain usi ko dhund ke phir zindagi mein launga wo meri subh ka suraj bane bane na bane main us ki shab mein sitaron sa jagmagaunga ab apne aap se ek zid si ho gai hai mujhe main zakhm khaunga tadpunga muskuraunga main jis ki zat se kuchh mo'atabar sa lagta hun usi ke haq mein duaon ke dar sajaunga mera wajud ajab pattharon ki zad par hai agar main sar na jhukaun to tut jaunga main jaanta hun tujhe meri sham yaad nahin main intizar ki shamen magar jalaunga meri giraft mein jugnu bhi aa nahin pate main us ke waste tare kahan se launga