main utha rakkhun na kuchh in ke liye ye hasin mil jaen do din ke liye wada-e-farda ke sachche mil gae ab utha rakkhun main kis din ke liye kal ke wade par na de wo mai-farosh jis ne tode hum se gin gin ke liye qorma murgh-e-sahar ka wasl mein bhej deta hun moazzin ke liye ye na kahne ko ho be-ginti diye main ne bose un ke gin gin ke liye munh jhulasne ko khizan ka andalib aashiyan mein baithe hain tinke liye mai-kasho waiz mere sar ho gaya koi tadbir is padhe jin ke liye ye 'riyaz' un ke bahut the munh lage uth raha kya aaj kuchh din ke liye