main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana sahra mere wajud ka hissa nahin bana is bar kuza-gar ki tawajjoh thi aur samt warna hamari khak se kya kya nahin bana soi hui ana mere aade rahi sada koshish ke bawajud bhi kasa nahin bana ye bhi teri shikast nahin hai to aur kya jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana warna hum aise log kahan thahrte yahan hum se falak ki samt ka zina nahin bana jitne kamal-rang the sare liye gae phir bhi tere jamal ka naqsha nahin bana roka gaya hai waqt se pahle hi mera chaak mujh ko ye lag raha hai main pura nahin bana