main ne hi na kuchh khoya jo paya na kisi ko us ne bhi to pura na kiya meri kami ko hai maujzan ek qulzum-e-khun sine mein ab tak darkar nahin aur meri tishna-labi ko hanste unhen dekha to bahut phut ke roe jo log taraste rahe ek umr hansi ko kuchh aisi tabiat mili hum ahl-e-chaman ko bardasht kiya hai kabhi shabnam na kali ko har ashk ajab gauhar-e-yak-dana hai 'shohrat' girya badi daulat hai jo milti hai kisi ko