main ne jo rah li dushwar ziyaada nikli mere andaze se har bar ziyaada nikli koi rauzan na jharoka na koi darwaza meri tamir mein diwar ziyaada nikli ye meri maut ke asbab mein likha hua hai khun mein ishq ki miqdar ziyaada nikli kitni jaldi diya ghar walon ko phal aur saya mujh se to ped ki raftar ziyaada nikli