maine lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai

main ne lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai
kabhi pas ho ke bhi dur hai kabhi dur ho ke qarib hai

main bigad gaya teri ek nazar se wagarna mujh ko to dekh kar
ye gali ki aurten boltin ise dekho kaisa najib hai

tu ho samne to bhi be-khudi na ho samne to bhi dil jale
mere kis gunah ki saza ye di ki tapidgi hi nasib hai

tere sehr ka main shikar ho ke tere qarib jo aa gaya
to pata chala ye mujhe ki tujh se jo dur hai wo labib hai

ye dua bhi hai ki na wasl ho ye dua bhi hai ki na hijr ho
mere marz-e-dil ka sabab hai tu mere dil ka tu hi tabib hai

kabhi be-rukh itna ki khar ho kabhi multafit to nisar ho
teri ye ada bhi habib hai teri wo ada bhi habib hai

ye zamana ahl-e-zamana sab mujhe bhul jaen gila nahin
tu na bhulna ki 'maaz' bhi tere mai-kade ka raqib hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close