main ne mana ek na ek din laut ke tu aa jaega lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lautaega hijr ke sadme us ka taghaful baaten hain sab kahne ki kuchh bhi na mujh ko yaad rahega jab wo gale lag jaega khwab-e-wafa aankhon mein basae phirta hai kya diwane tabiren pathraw karengi jab tu khwab sunaega kitni yaaden kitne qisse naqsh hain in diwaron par chalte chalte dekh len mud kar kaun yahan phir aaega baad-e-bahaari itna bata de sada-dilan-e-mausam ko sarf-e-chaman jo khun hua hai rang wo kab tak laega