main ne mana kaam hai nala dil-e-nashad ka hai taghaful shewa aakhir kis sitam-ijad ka hae wo dil jo hadaf tha nawak-e-bedad ka dard sahta hai wahi ab ghaflat-e-sayyaad ka nargis-e-mastana mein kaifiyat-e-jam-e-sharab qamat-e-rana pe aalam misra-e-ustad ka mana-e-fariyaad hai kuchh taba ki afsurdagi kuchh sukut-amoz hai pas-e-adab sayyaad ka is qadar dilkash raha tera agar andaz-e-jaur zakhm-e-dil munh chum lega khanjar-e-bedad ka majlis-e-matam bani aane se un ke bazm-e-aish pad gaya phulon mein mere ghul mubarakbaad ka tu na kar tark-e-sitam zalim sitam ho jaega jaan se jaega khugar lazzat-e-bedad ka dard-e-nakaam-e-hujum-e-arzu ka hai maal talkhi-e-hasrat natija shauq-e-ulfat-zad ka hasrat-afza hai bahut mere dil-e-viran ka jal kaun hai farman-rawa is mulk-e-ghair-abaad ka lutf hi aata raha hai sai-e-baatil mein mujhe hai yahan afsos kis ko mehnat-e-barbaad ka khinch kar le chal mujhe shauq-e-asiri su-e-dam kaam aisa kar ki jis se ji badhe sayyaad ka kis ko shikwa hijr ka aur kis ko hasrat wasl ki lutf-parwarda hai mera dil kisi ki yaad ka ye ada-e-dil-rubayana ye andaz-e-haya kis tarah phir kaam karti hai nazar jallad ka 'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shiar kaam khamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka