maine socha hai ki ab tark-e-tamanna kar lun

main ne socha hai ki ab tark-e-tamanna kar lun
zindagi jaise guzarti hai gawara kar lun

lakh tufan uthen lakh kinare duben
apni tuti hui kashti pe bharosa kar lun

hawas-e-shauq na tadpae nigah-o-dil ko
teri duniya se bahut dur basera kar lun

bujhte jate hain sar-e-sham umidon ke charagh
kis ki yaadon se dil-o-jaan mein ujala kar lun

kaun mere liye tanwir liye aaega
kis bharose pe sar-e-sham andhera kar lun

apni virani-e-dil dekh ke ji chahta hai
teri baaton teri nazron pe bharosa kar lun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close