main ne yun dekha use jaise kabhi dekha na tha aur jab dekha to aankhon par yaqin aata na tha baam-o-dar se sakht barish mein bhi utthega dhuan yun bhi hota hai mohabbat mein kabhi socha na tha aandhiyon ko rauzan-e-zindan se hum dekha kiye dur tak phaila hua sahra tha naqsh-e-pa na tha log lae hain kahan se shab ko marmar ke charagh un chatanon mein to din ko rasta paida na tha shahr ki hangama-arai mein kho kar rah gaya main ki apne ghar mein bhi mujh ko sukun milta na tha barf apne-ap ghul jati hai suraj ho na ho sham se pahle ye jaana tha magar samjha na tha un dinon bhi shahr mein sailab aate the bahut wadiyon mein jab kahin baadal abhi barsa na tha raat ki tanhaiyon mein jis se chaunk utthe the hum apni hi aawaz thi shoala koi chamka na tha wo bhi sach kahte hain 'akhtar' log begane hue hum bhi sachche hain ki duniya ka chalan aisa na tha