majbur hun aah kar raha hun nadim hun gunah kar raha hun phulon ki talash hai nazar ko kanton pe nigah kar raha hun ai barq thahar ki apna gulshan main khud hi tabah kar raha hun bas ek teri khushi ki khatir har gham se nibah kar raha hun us ki nazar apni samt pa kar har samt nigah kar raha hun manzil ka to kuchh pata nahin hai sajde sar-e-rah kar raha hun kis chiz ki justuju hai 'danish' har shai pe nigah kar raha hun