majma mere hisar mein sailaniyon ka hai jangal hun mera farz nigahbaniyon ka hai qatre gurez karne lage raushnai ke qissa kisi ke khun ki arzaniyon ka hai khush-rang pairahan se badan to chamak uthe lekin sawal ruh ki tabaniyon ka hai rone se aur lutf wafaon ka badh gaya sab zaiqa phalon mein nae paniyon ka hai sau bastiyan ujadiye dil ko na todiye ye sang-e-mohtaram kai peshaniyon ka hai mahfuz rah sakenge safine kahan talak maujon mein band-o-bast hi tughyaniyon ka hai hoti hain dastiyab badi mushkilon ke baad 'shahid' hayat nam jin aasaniyon ka hai