makan deta kahan tha aman mitti ka makin chhod gae ye jahan mitti ka na jaane kaunsi barish baha ke le jae khada hun sar pe liye saeban mitti ka zamin ko tang samajhte ho kis liye itna ye shukr hai ki nahin aasman mitti ka tumhaare lams ki khushbu hai aaj tak is mein mahak raha hai abhi phul-dan mitti ka bikhar raha hun hawa mein kuchh is tarah ab to badan pe hone laga hai guman mitti ka main dar raha hun ki mayus hi na ho 'azhar' ki le raha hai koi imtihan mitti ka