makan se dur kahin la-makan se hota hai safar shuru yaqin ka guman se hota hai wahin kahin nazar aata hai aap ka chehra tulu chand falak par jahan se hota hai hum apne bagh ke phulon ko noch dalte hain jab ikhtilaf koi baghban se hota hai mujhe khabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai uruj par hai chaman mein bahaar ka mausam safar shuru khizan ka yahan se hota hai zawal-e-mausam-e-khush-rang ka gila 'asim' zamin se to nahin aasman se hota hai