makan se la-makan tak aa gae hain kahan se hum kahan tak aa gae hain jahan jalte hain par hosh-o-khirad ke junun mein hum wahan tak aa gae hain bhadak utthi hai kaisi aatish-e-gul sharare aashiyan tak aa gae hain khulus-e-dosti par marne wale hayat-e-jawidan tak aa gae hain hamari gum-rahi manzil nishan hai tajassus mein kahan tak aa gae hain wahan dil mein mohabbat ki kami hai jahan shikwe zaban tak aa gae hain tamasha-e-bahaar-e-gul ki shaida bahaar-e-gul-rukhan tak aa gae hain maqam apna nahin malum lekin jahan tum ho wahan tak aa gae hain kisi ke jalwa-ha-e-hairat-angez nazar ke imtihan tak aa gae hain na pahunche khana-e-dil ke makin tak zamin se aasman tak aa gae hain guzar kar hum khudi wahm-o-guman se khuda jaane kahan tak aa gae hain 'rishi' manzil nahin ab dur hum se ghubar-e-karwan tak aa gae hain