makan soe hue the abhi ki dar jage thakan miti bhi na thi aur nae safar jage jo din chadha to hamein nind ki zarurat thi sahar ki aas mein hum log raat bhar jage jakad rakha tha faza ko hamare naron ne jo lab khamosh hue to dilon mein dar jage hamein daraegi kya raat khud hai sahmi hui badan to jagte rahte the ab ke sar jage uthao hath ki waqt-e-qubuliyat hai yahi dua karo ki duaon mein ab asar jage