malal ji pe na yun ek chaaragar ne liya asar jo meri udasi ka baam-o-dar ne liya bata raha yunhi gham-ha-e-rozgar ka bojh kuchh apne dil ne sambhaala kuchh apne sar ne liya lute to lut ke ye tauqir bhi hamin ko mili gae jidhar bhi hamein sar pe rah-guzar ne liya jo shisha tuta chuna dil ne reza reza use jo rang bikhra wo palkon pe chashm-e-tar ne liya hum aise khana-kharabon se aur kya milta bas ek lutf-e-tamasha nazar nazar ne liya ye sochta hun to dasti hai aur shakh-e-chaman sukun ka nam hi kyun ek shikasta-par ne liya jo ghar mein par-taw-e-zau tha use bujha gai raat jo dil mein wirsa-e-khun tha wo sab sahar ne liya khayal-e-be-khabran to bahut raha un ko pata kuchh apna bhi yaran-e-ba-khabar ne liya dil ashk ashk dimagh aag aag hai 'mahshar' ye intiqam bhi mujh se mere hunar ne liya