mana bahut udas hun is zindagi se main

mana bahut udas hun is zindagi se main
lekin gila karun bhi to kyon kar kisi se main

hans hans ke katta hun ye sahra ki talkhiyan
pesh aa raha hun dekhiye dariya-dili se main

kuchh bhi nahin hai waqt ki raftar se pare
kya kya na khwab dekhne wala tha ji se main

zindan mein apne panw ki zanjir tod kar
pagal sa ho gaya hun adhuri khushi se main

aao ki khatm-e-shab ka karen koi ehtimam
tum tirgi se baat karo raushni se main

is aarzi padaw se jaunga mein kidhar
manzil to pa saka na teri rahbari se main

'rashid' ye hijr is qadar aasan to na tha
bahla raha tha dil ko magar shaeri se main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close