mana hazar sal se hun dar-ba-dar raha

mana hazar sal se hun dar-ba-dar raha
lekin kisi ki chah ke zer-e-asar raha

jo bujh gae charagh zamin-bos ho gae
main jal raha tha is liye main baam par raha

dariya ke par sara qabila utar gaya
lekin wo ek shakhs jise khud ka dar raha

diwana-war phirta raha hai jo dasht dasht
aakhir wo kis guman ke zer-e-asar raha

yaran-e-khush-nasib mein hoga mera shumar
kuchh roz tujh se dost talluq agar raha

phir apne aap ka bhi wo rah paega kahan
kuchh der mere sath agar ham-safar raha

aakhir mujhe bhi tamgha-e-ruswai mil gaya
jo khel khelne ka na tha khel kar raha

'mansur' tera nam shahidon mein aa gaya
ta-hashr warna kaun yahan mo'atabar raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close