mana kar jashn apni bebasi ka udata hun tamaskhur zindagi ka lahu kei chhint har diwar par thi laga ilzam phir bhi khud-kushi ka khuda sab ko banate ja rahe ho tamasha kar rahe ho bandagi ka meri saf se jo aage kei safen hain numayan fasla hai muflisi ka chala kar pith par khanjar ye kis ne kiya hai nam ruswa dushmani ka na jaane rah ke jo pech-o-kham ko use ohda mila hai rahbari ka chalo mahtab le aaen kahin se badha jata hai saya tirgi ka wo daulat ilm kei 'arqam' hai jis ko kabhi khadsha nahin hai rahzani ka