mana ki hum is daur ka hasil to nahin the

mana ki hum is daur ka hasil to nahin the
na-qadri-e-duniya ke bhi qabil to nahin the

aata to sahi baad-e-sahar ka koi jhonka
hum khas kisi phul pe mail to nahin the

har shakhs ne naqsh-e-kaf-e-pa hum ko banaya
har shakhs ki hum rah mein hail to nahin the

do ghunt hi pi lete agar koi pilata
hum rind-e-khush-auqat the sail to nahin the

kya baat hai 'nuri' jo hai ab lahje mein narmi
tum narmi-e-guftar ke qatil to nahin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close