mana ki mere pyar ko patthar pasand tha

mana ki mere pyar ko patthar pasand tha
wo shakhs kya hua jo bada dard-mand tha

shahr-e-sada ko raat kisi ne jaga diya
duba hua sa dard mein wo kis ka chhand tha

kaise wo is jahan ki wusat ko dekhta
wo aaina jo apne hi kamre mein band tha

kase ko dard ke na mili chandni ki bhik
haalanki mera chand bahut dard-mand tha

bhadki lahu ki aag to andar se jal gaya
ehsas ka makan jo bahar se band tha

dete hain dad gul tere aanchal ko tham kar
kanton ka hausla bhi ghazab ka buland tha

jis ke gale mein nisf sadi ki salib thi
us lamhe ka to 'raj bhi ehsanmand tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close