mangen na hum bahisht na ho wan agar sharab dozakh mein dal dijiye dije magar sharab zahid ke bakht-e-bad ki hai khubi wagarna kyun chhode koi sharab ki ummid par sharab tauba to hum ne ki hai par ab tak ye haal hai pani bhar aae munh mein dikha den agar sharab goya sharab hi se bhara umr ka qadah maut us ki khub hai jo piye umr bhar sharab samjha nahin ki jite hain murde isi tarah chhidke wagarna kyun wo meri khak par sharab hai lutf-e-zist ye ki wo baitha ho ru-ba-ru bikhre hon phul idhar to dhari ho udhar sharab be-khud kiya jahan ko teri chashm-e-mast ne thi kaisi is pyale mein ai fitna-gar sharab chashm-e-siyah mast nigah mast aap mast pita hai dil-lagi ko but-e-ishwa-gar sharab tauba mein hum na khaenge ilzam kya hua ik-adh yar pi gae gar bhul kar sharab