mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

mani-taraaz-e-ishq har ek baada-khwar tha
is mai-kade mein mast jo tha hoshiyar tha

tamhid thi junun ki gareban hua jo chaak
yani ye khair-maqdam-e-fasl-e-bahaar tha

banne lage hain dagh sitare khusha-nasib
tarik aasman-e-shab-e-intizar tha

the zindagi ke sath mohabbat ke karobar
aakhir kisi ke dar pe hamara mazar tha

marne pe bhi kata na azab-e-gham-e-firaq
kunj-e-lahad khulasa-e-shab-ha-e-tar tha

aaghaz-e-ishq hi mein mujhe chup si lag gai
ek baat bhi na ki ki nafas raazdar tha

kya lutf de gaya wo fareb-e-wafa ka daur
goya kisi ke dil pe hamein e'tibar tha

duniya se rah-rawan-e-mohabbat guzar gae
is karwan ka aalam-e-hasti ghubar tha

chhut kar qafas se main na gaya su-e-bostan
aakhir fareb-khurda-e-fasl-e-bahaar tha

ek aah-e-garm hum ne bhari thi shab-e-firaq
jal kar sahar ko khak dil-e-be-qarar tha

fursat mili na hum ko tamasha-e-dahr ki
har zarra husn-e-yar ka aaina-dar tha

ek lakht-e-dil bacha tha magar wo bhi ai 'nazar'
aakhir ko nazr-e-dida-e-khun-naba-yar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close