manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de ja raha hai ye musafir to udhar jaane de teri aawaz ki parwaz mein hai mera wajud apni guftar ke pardon mein bikhar jaane de na koi chashm-e-tamanna na koi dast-e-dua zindagi tu mujhe be-laus guzar jaane de tere qabil bhi nahin tere muqabil bhi nahin ham-safar sath mujhe apne magar jaane de tu to hai husn-e-azal aur mera rang-e-ghazal meri aawaz mein bhi kuchh to asar jaane de mere ashaar mein sadiyon ke talatum ka shuur kash tu un ko zara dil mein utar jaane de