manzar-e-rukhsat-e-dildar bhulaya na gaya dil kai roz talak rah pe laya na gaya khana-e-dil ki tabahi ka den ilzam kise aap ke baad yahan koi bhi aaya na gaya khak taswir musawwir se banegi teri dusra tujh sa khuda se bhi banaya na gaya de gaya khub saza mujh ko koi kar ke muaf sar jhuka aise ki ta-umr uthaya na gaya lakh duniya ne mere sher pe di dad to kya jis ki khatir tha likha us ko sunaya na gaya waqt ke sath 'sada' badle talluq kitne tab gale milte the ab hath milaya na gaya