manzar samet lae hain jo tere ganw ke ninden chura rahe hain wo jhonke hawaon ke teri gali se chand ziyaada hasin nahin kahte sune gae hain musafir khalaon ke pal bhar ko teri yaad mein dhadka tha dil mera ab dur tak bhanwar se pade hain sadaon ke dad-e-safar mili hai kise rah-e-shauq mein hum ne mita diye hain nishan apne panw ke jab tak na koi aas thi ye pyas bhi na thi bechain kar gae hamein sae ghataon ke hum ne liya hai jab bhi kisi rahzan ka nam chehre utar utar gae kuchh rahnumaon ke uglega aaftab kuchh aisi bala ki dhup rah jaenge zamin pe kuchh dagh chhanw ke