manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin

manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin
hun rail par sawar to dam-o-diram nahin

maidan-e-zindagi mein karen daud-dhup kiya
hum aise na-tawan hain ki uthta qadam nahin

kya khub hath panw khuda ne ata kiye
chalte rahen to hajat khil-o-khadam nahin

aghyar kyun dakhil hain bazm-e-surur mein
mana ki yar kam hain par itne to kam nahin

jab tak hai ishq-o-ashiq-o-mashuq mein tamiz
khulta kisi pe raaz-e-hadus-o-qidam nahin

aadam pe mo'tariz hon farishte to kya ajab
chakhi hanuz chashni-e-zahr-e-gham nahin

izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin

tu hi nahin hai ramz-e-mohabbat se aashna
warna dayar-e-husn mein rasm-e-sitam nahin

irshad-e-taba ki na agar pairwi kare
naqqashi-e-khayal majal-e-qalam nahin

sar hi ke bal gae hain sada rahrawan-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishan-e-qadam nahin

kaisi talab kahan ki talab kis liye talab
hum hain to wo nahin hai jo wo hai to hum nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close