manzil-e-ishq ke rahbar kho gae mere hamdam mere ham-safar kho gae inqilab-e-zamana ne karwat jo li zikr ek do ka kya ghar ke ghar kho gae ho gai khatm rasm-e-mulaqat bhi wo nazare wo sham-o-sahar kho gae hum ne har gam par sath chaha magar qafile har nae mod par kho gae main jo daman mein laya tha aansu tere dagh hain un ke lal-o-gohar kho gae baat ye raaz ki hai ki sab rah-rau rafta rafta har ek mod par kho gae jab mukammal hui shams ki dastan maslahat hai ki ahl-e-nazar kho gae