manzil hai na koi safar hai jaane ye kaisi rahguzar hai main jis ko pahchan raha hun shayad wo mera hi ghar hai na-danon ki bhid mein khoya shayad koi danish-war hai kya tauqir hai ahl-e-fan ki kya eazaz-e-ahl-e-hunar hai mera ghar sari duniya ka sari duniya mera ghar hai nashsha tutne se pahle hi hum so jaen to behtar hai kaise 'kanwal' tai hoga hum se khwabon ke jangal ka safar hai