manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuTe

manzil safar-e-ishq ki zinhaar na tute
jab tak kamar-e-qafila-e-salar na tute

is pand se dil naseh-e-din-dar na tute
but todne mein kabe ki diwar na tute

be-fikr rahe banda-e-naqab-e-rukh-e-jaanan
hum se kabhi qufl-e-dar-e-gulzar na tute

jab tak na gawara ho tujhe naza ki talkhi
parhez tera ai dil-e-bimar na tute

har roz ho jab saikdon ushshaq ka chaurang
ai shokh kahan tak teri talwar na tute

sar patkun jo diwar se kahta hai wo zalim
bas bas mere ghar ki kahin diwar na tute

beja hai teri garmi-e-bazar ka shikwa
kyun jins nai pa ke kharidar na tute

qismat mein ho go manzil-e-maqsad ka pahunchna
par aabla-e-pa mein sar-e-khar na tute

aasan hai 'shahidi' ki agar dil-shikani ho
par shart ye hai khatir-e-aghyar na tute


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close