manzilen kya bataen main kya hun zindagi ka udas rasta hun tu kharosh-e-talatum-e-dariya main sukut-e-sarab-e-sahra hun kaam aai na kuchh shanasai shahar ki bhid mein akela hun main teri justuju ke sahra mein raqs karta hua bagula hun khar-o-khas hi sahi magar yaro main bhi sahn-e-chaman ka hissa hun chashm-e-ibrat se dekhiye mujh ko apni tahzib ka janaza hun aap apni sunaiye 'masum' meri kya puchhte hain achchha hun