maqam-e-hijr kahin imtihan se khali hai kahin zamin bhi kisi aasman se khali hai nashat-e-gham mein to dard-e-nihan talash na kar nashat-e-gham kabhi dard-e-nihan se khali hai uruj-e-gham mere soz-e-jigar se aa puchha maqam-e-dil kahin soz-e-nihan se khali hai khayal us ka main shayad samajh nahin paya mera khayal to ishq-e-butan se khali hai ek aisi baat hi taskin-e-qalb bakhshe hai 'nisar' dil mera wahm-o-guman se khali hai