mar kar are waiz koi zinda nahin hota

mar kar are waiz koi zinda nahin hota
wo hashr maze ka hai jo barpa nahin hota

but todne se but-kada kaba nahin hota
pahle kabhi hota ho ab aisa nahin hota

sab hashr mein hain aaj hamin zer-e-lahad hain
kya jaaniye kyun hashr hamara nahin hota

hoti hai jo shishe mein to hoti nahin kuchh fikr
thodi si bhi ho to gham-e-farda nahin hota

thukraate nahin pa-e-hinai se wo sar ko
raushan kabhi qismat ka sitara nahin hota

sun lete hain chupke se moazzin ki hum ai shaikh
jab hath mein naqus-e-kalisa nahin hota

aane ko to aati hain junun-khez bahaaren
kya jaaniye ab kyun hamein sauda nahin hota

maikhane mein kyun yaad-e-khuda hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota

allah dikhae na bura waqt kisi ko
koi bhi zamane mein kisi ka nahin hota

thukraate hue darte ho kyun meri lahad ko
thokar se tumhaari koi zinda nahin hota

aaqa se 'riyaz' aap to kahte nahin kuchh bhi
auron se gila kaam hamara nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close