marhaba dida-e-mai-nosh mein aane wale ab tere rind nahin hosh mein aa ne wale dekh saqi rahe khali na tera koi subu jam hain dast-e-bala-nosh mein aane wale qatl ai zist teri sej pe dhoke se hue mar gae sab teri aaghosh mein aane wale ja-ba-ja dekh ke hanste hue chehron ke mazar ro pade kucha-e-khamosh mein aane wale sal-ha-sal jinhen dasht se manus kiya ab ye panw nahin pa-posh mein aane wale itna idrak to hai hum ko ki aasani se hum nahin dast-e-sitam-kosh mein aane wale sab taraf-dar tere nikle adakar 'hasan' maslahat-kosh the sab josh mein aane wale