marhala-dar-marhala yun mujhko sar usne kiya

marhala-dar-marhala yun mujh ko sar us ne kiya
meri nazron se guzar kar dil mein ghar us ne kiya

chhanw hath aai nahin yunhi ghane ashjar ki
chilchilati dhup mein bhi tai safar us ne kiya

har qadam par sath mere laghzishon ki bhid thi
chashm-e-baaligh se unhen sarf-e-nazar us ne kiya

kah rahe hain kale gahre aankh ke wo daere
zahr pi kar zulmat-e-shab ko sahar us ne kiya

qatl khanjar se agar karta na karta main gila
maslahat ki dhaar se khun-e-jigar us ne kiya

khun-e-dil se zakhm-e-jaan ko sinchna aasan na tha
kaam waise tha bahut mushkil magar us ne kiya

ek wo mujh ko zamin ka chand kahta hai 'nazar'
us ka ehsan hai ki zarre ko qamar us ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close