marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage ek shoala hai koi barq-e-tapan se aage apni hairat ka to hai ilm yaqin se pahle tu bata mujh ko hai kya mere guman se aage han mera shauq-laqa teri inayat hi sahi kya mila mujh ko magar ijz-e-bayan se aage kyun bana dala ise meri nigahon ka ghurur tera jalwa hai agar husn-e-butan se aage apni khalwat se kabhi tu bhi na bahar jhanka mujh ko jaane na diya mere makan se aage kuchh nahin is ke siwa apni nigahon ki bisat kuchh dikhai na diya sud-o-ziyan se aage fahm-o-idrak pe bhi mere hai pahra tera aur tu sare makan sare zaman se aage imtihan khatm nahin hota isi par 'tarzi' ju-e-khun lani hai ek ashk-e-rawan se aage