marka khatm hua jang abhi jari hai dil ki manen ki khirad ki yahi dushwari hai koi patta nahin hilta hai na khulti hai zaban aah phir se kisi tufan ki tayyari hai kyun na ye dekh ke binai dagha de jae shams par bhi abhi zulmat ka fusun tari hai ab ye hasrat bhi liye jate hain dil ki dil mein ye to kah lete tera tir bahut kari hai hae kam-zarfi-e-dil tu ne kahin ka na rakha aah ne kah diya tazir bahut bhaari hai tere mashkur hain hamdam kiya wazeh tu ne feal-e-ghaarat-gari sayyaad ki na-chaari hai waqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpa kar de hans ke kah de ki ye inam-e-wafadari hai