marte dam nam tera lab ke jo aa jae qarib ji ko thandak ho tap-e-gham na mere aae qarib bosa mangun to kahen mujh se ye bulwa ke qarib kis ka munh hai jo mere munh ke wo munh lae qarib hath daudaun na kyun jabki wo yun aae qarib panw phailaun na kyun panw jo phailae qarib pas aaun to kahe pas-e-adab bhi hai zarur dur jaun to wahan jae taqaza-e-qarib mujh ko ai pir-e-mughan mohtasib-e-na-hanjar qurb-e-mahshar hai ki be-qurbi se bulwae qarib gham-e-duri se tere kuche ke roya aashiq wan se jab rauza-e-rizwan use lae qarib meri bedari se ai daulat-e-bedar ho kya bakht jagen jo mujhe apne to bulwae qarib mere nalon se na din chain na shab ko hai qarar marg ke pahunche hain ab to mere ham-sae qarib aisi majlis se agar rahiye baid aula hai dil dimagh apna to wo aur ye ghaugha-e-qarib pas jaun to machal kar kahe chal yan se dur dur baithun to ghudak kar mujhe farmae qarib ishq ke pech mein hun chahiye hamdam pas-e-marg ishq-e-pechan hi meri qabr ke lagwae qarib mushk-o-sandal ho tere rang se baalon ham-sar ghussa dil ko mere kis tarah na aa jae qarib kuchh radif ab ki badha qafiya 'ehsan' tu badal phir qarib aise bitha tujh ko wo bithlae qarib