marte dam o bewafa dekha tujhe ek nazar dekha to kya dekha tujhe ai pari-ru kyun na main diwana hun baal khole barha dekha tujhe nikhat-e-gul bhi na lai ta-qafas chal hawa ho ai saba dekha tujhe girya-e-bulbul par us ne hans diya jis ne ai gulgun-qaba dekha tujhe did mein har-chand sau nuqsan the faeda ek ye hua dekha tujhe halqa-e-gesu hai gardan mein pada aap apna mubtala dekha tujhe kya teri nairangiyan kije bayan sab mein aur sab se juda dekha tujhe barq-e-afat aaj hi hum par giri warna hanste barha dekha tujhe aaj tak ai bekasi chhoda na sath ek sabit aashna dekha tujhe ِduzdi-e-dil ka yaqin ho kis tarah kis ne ai duzd-e-hina dekha tujhe hum ne 'ghafil' but-kade mein dahr ke ek mard-e-ba-khuda dekha tujhe