marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun 'nadim' kash yahi ek kaam kar jaun ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyas jo izn ho to teri yaad se guzar jaun mera wajud meri ruh ko pukarta hai teri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun tere jamal ka partaw hai sab hasinon par kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jaun main zinda tha ki tera intizar khatm na ho jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho main tere dar se jo uthun to kis ke ghar jaun ye sochta hun ki main but-parast kyun na hua tujhe qarib jo paun to khud se dar jaun kisi chaman mein bas is khauf se guzar na hua kisi kali pe na bhule se panw dhar jaun ye ji mein aati hai takhliq-e-fan ke lamhon mein ki khun ban ke rag-e-sang mein utar jaun