masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se magar main duniya ko dekhta hun charagh aur aaine ki ru se main us gul-khwab ki mayyat mein sans lete bhi dar raha hun ki shakh badhne se beshtar hi na qata ho khwahish-e-numu se nashat-e-izhaar par agarche rawa nahin e'tibar karna magar ye sach hai ki aadmi ka suragh milta hai guftugu se main ek muddat se is jahan ka asir hun aur sochta hun ye khwab tutega kis qadam par ye rang chhutega kab lahu se ye mishal-e-khwab bhi na 'sajid' kisi sitare ki pesh-rau ho ki mere sine mein ek gham ne numud pai hai aarzu se